ashkon se kab miTe hain daman ke dagh yaro

ashkon se kab mite hain daman ke dagh yaro
aise nahin bujhenge gham ke charagh yaro

har aadmi ke qad se us ki qaba badi hai
suraj pahan ke nikle dhundle charagh yaro

un mein khayal-e-nau ke kaise ugenge paude
banjar hain mazhabon se jin ke dimagh yaro

roz-e-azal se insan hai khoj mein khuda ki
kis ko mila hai lekin us ka suragh yaro

aankhon mein ab na aansu dil mein bhi gham nahin hai
kab ke chhalak chuke hain sare ayagh yaro


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close