DhunD leti hain koi mahtab sa manzar kahin

dhund leti hain koi mahtab sa manzar kahin
jagti rahti hain aankhen khwab ke andar kahin

dal lete hain bhala zanjir-e-ishrat panw mein
tan kar chalte hain sar par dard ki chadar kahin

is khayal-e-naz mein hota hai shab bhar jagna
ek kaif-e-hijr mein hoga mera bistar kahin

dil ke andar chupke chupke jagti hai be-kali
shor karti hain hawaen jism ke bahar kahin

aankh mein bedariyon ki dhul girti jaegi
aasman sar par uthaenge mah-o-akhtar kahin

har sada-e-naghma hai aawaza-e-mahshar mujhe
dil larazta hai badal jae na ye manzar kahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close