dil ko yaksui ne di tark-e-talluq ki salah ai umid-e-wasl-e-jaanan kya hai ab teri salah jab jafa-ju ne taghaful se bhi ki qat-e-nazar ho raza-e-yar par shakir ye hai dil ki salah hosh mein jalwa dikhane se agar hai us ko aar hai wida-e-hosh ki har haal mein apni salah naqd-e-jaan dildar karta hai talab main kya karun bandagi bechaargi par ab to hai meri salah manzil-e-ishq-o-fana karni hai tai sar-ta-ba-sar shama ke manind jal bujhne ki hai meri salah saf kahta hai ki tu neki kar aur dariya mein dal dil mera deta hai mujh ko aaj neki ki salah be tamannai mein 'sahir' main hun har-dam mere sath dur kar dil se tamanna hai ye jaanan ki salah