dua hai aur na koi bad-dua hai

dua hai aur na koi bad-dua hai
ye duniya to mahz ek hadisa hai

tumhaare samne jo aaina hai
yaqin jaano wahi to aashna hai

jo kahna tha wo hum ne kah diya hai
bataen aap ka kya faisla hai

ajab duniya hai insanon ki duniya
jahan insaniyat hi gum-shuda hai

tasawwur barha pahuncha wahin par
zamir aksar jahan par rokta hai

yahi sachchai hai har ek sach ki
yahi lagta hai bas ek zawiya hai

ye duniya jaan-e-jaan teri na meri
makin sab hain magar malik khuda hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close