ghar ke bahar bhi to jhanka ja sakta hai

ghar ke bahar bhi to jhanka ja sakta hai
aur kisi ka rasta dekha ja sakta hai

raat guzari ja sakti hai tare gin kar
din mein chadar tan ke soya ja sakta hai

shikwe dur kiye ja sakte hain yaron se
is sunday ko phone ghumaya ja sakta hai

us ke jaisa hi ab kuchh hasil hai mujh ko
ab us ki khwahish ko chhoda ja sakta hai

waise paisa hi sab kuchh hai is duniya mein
lekin paise par bhi thuka ja sakta hai

wada karne mein kaisi ghabrahat pyare
wade se ek pal mein palta ja sakta hai

mere an-dekhi karne ka hai kya karan
kam se kam us se puchha ja sakta hai

main apne chehre se thoda ub gaya hun
kya apna chehra bhi badla ja sakta hai

sher kahe ja sakte hain paripati wale
aur zaminon par bhi socha ja sakta hai

dhire dhire zalim ki jad khodo 'saurabh'
rassi se chattan ko kata ja sakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close