har ek ke tajarbe se muKHtalif hai tajraba mera

har ek ke tajarbe se mukhtalif hai tajraba mera
na kyun sab se alag ho zindagi par tabsira mera

nahin malum kitni martaba marna pada mujh ko
jiye jaana mera har-haal mein hai moajiza mera

meri hasti nahin mahdud hargiz chand lamhon tak
azal se ta-abad jari rahega silsila mera

ye mujh se mashwara kyun hai meri qismat ke bare mein
tumhaara faisla jo hai wahi hai faisla mera

'munawar' pahle apne zauq par tanqid farma len
mere ahbab nahaq le rahe hain jaeza mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close