jab bhi wo mujhse mila rone laga

jab bhi wo mujh se mila rone laga
aur jab tanha hua rone laga

doston ne hans ke jab bhi baat ki
wo hansa phir chup raha rone laga

jab bhi mere panw mein kanta chubha
patta patta bagh ka rone laga

aabyari ke liye aaya tha kaun
har shajar murjha gaya rone laga

chand nikla jab moharram ka kahin
chup se dasht-e-karbala rone laga

us pe kya biti hai apne shahr mein
aashna na-ashna rone laga

mere dushman ka rawayya tha ajab
jab hua mujh se juda rone laga

baadalon ne aaj barsaya lahu
amn ka har fakhta rone laga

dekh kar masjid mein mujh ko muztarib
mere gham mein but-kada rone laga

tha 'zafar' ka ek anokha majra
ghaur se jis ne suna rone laga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close