jab na shisha hai na saghar hai na paimana mera kis tarah kah dun ye mai-khana hai mai-khana mera chhup sakega bagh mein kyunkar meri wahshat ka haal patte patte ki zaban kahti hai afsana mera hain makin ab bhi dil-e-mahzun mein lakhon hasraten khair se hai aaj bhi aabaad virana mera ho bhala kyunkar ayan meri haqiqat aap par aap aksar ghair se sunte hain afsana mera saqiya ho is taraf bhi ek inayat ki nazar tak raha hai tujh ko kis hasrat se paimana mera main tera mamnun hun ai shoala-e-barq-e-tapan tere dam se ho gaya pur-nur kashana mera doston ki baat kya hai dost to phir dost the dushmanon se bhi raha 'ummid' yarana mera