kabhi dard-ashna tera bhi qalb shadman hoga

kabhi dard-ashna tera bhi qalb shadman hoga
kabhi nam-e-khuda tu bhi to ai kam-sin jawan hoga

nahin malum un ki jalwa-gah mein kya saman hoga
nazar jab kaamran hogi to ai dil tu kahan hoga

wahi ek sans madhosh hayat-e-jawedan hoga
jo aah-e-sard ban kar soz-e-gham ka tarjuman hoga

laraz jaenge ye mazlumi dil ke tamashai
agar ye khak ka to wo kabhi aatish-fishan hoga

jo soz-e-dil se muztar ho ke aaega sar mizhgan
to khurshid-e-qayamat mera ashk khun-chakan hoga

sitare ban ke chamkenge dil barbaad ke zarre
ye dil barbaad ho kar bhi dalil-e-karwan hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close