kabhi jo nikhat-e-zulf-e-nigar aai hai

kabhi jo nikhat-e-zulf-e-nigar aai hai
faza-e-murda-e-dil mein bahaar aai hai

zarur teri gali se guzar hua hoga
ki aaj baad-e-saba be-qarar aai hai

koi dimagh tasawwur bhi jin ka kar na sake
ye jaan-e-zar wo lamhe guzar aai hai

tujhe kuchh us ki khabar bhi hai bhulne wale
kisi ko yaad teri bar bar aai hai

khuda-gawah ki un ke firaq mein 'kausar'
jo sans aai hai wo sogwar aai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close