kai din se koi hichki nahin hai wo hum ko yaad ab karti nahin hai siwa tere jidhar se koi aae hamare dil mein wo khidki nahin hai main jis dariya mein kanta dalta tha suna hai ab wahan machhli nahin hai thin jitni sab kuen mein phenk aae hamare pas ab neki nahin hai