kaif-o-surur-o-masti humse KHud mein hain mai-KHana hum

kaif-o-surur-o-masti hum se khud mein hain mai-khana hum
shisha saghar saqi mina jam-o-subu paimana hum

ek zara si der hui kya us ki gali tak jaane mein
tanhai ki shakl mein ab tak bharte hain jurmana hum

jaane kaun sa jadu tha us jhil si gahri aankhon mein
dil jaisi nayab si shai tak de aae nazrana hum

jis ne chaha jaisa chaha jod liya ek rishta phir
ishq mein tere bhul gae jab apna aur begana hum

ru-e-zamin ka ek ek manzar apni nazar ke dam se hai
sahra aur samundar hum hain gulshan aur virana hum

rafta rafta mit jaenge naqsh hamari hasti ke
dhire dhire ho jaenge duniya mein afsana hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close