KHaksari se jo ghafil dil-e-ghammaz hua

khaksari se jo ghafil dil-e-ghammaz hua
khak ke parde mein poshida mera raaz hua

le gaya khat jo kabutar ki tarah tair-e-dil
zulf ke jal mein phanste hi girah-baz hua

saz ke parde mein ki tu ne hukumat sab par
nae qanun se tayyar tera saz hua

hairati fasl-e-chaman mein hui sarsabz aisi
sabza rukhsara-e-taswir se aaghaz hua

raat sharma ke tere baalon se ru-posh hui
zagh-e-shab ke liye gesu par-e-parwaz hua

kothe par chehra-e-pur-nur dikhaya sar-e-sham
yar se rajat-e-khurshid ka eajaz hua

chaman-e-dahr mein the dida-e-unqa nargis
jab se main shefta-e-chashm-e-fusun-saz hua

sifat-e-abla mina-e-falak tut gaya
kya qayamat teri raftar ka andaz hua

jab hua mahw-e-ada bagh mein wo khusraw-e-husn
phulon ke aks se gulgun faras-e-naz hua

aap munh dekhne ko aaina-e-dil manga
tasfiya us but-e-kafir se khuda saz hua

arsa-e-dahr mein bandha jo tilism-e-ulfat
dushman-e-jaan falak-e-shobada-pardaz hua

jaan leta hai teri tir-e-nigah se sab ki
ai pari paik-e-qaza bhi qadar-andaz hua

sumbul-e-ah hua turra-e-shamshad-e-bahisht
ham-baghal mujh se jo wo sarw sar-afraaz hua

us se kuchh kah ke mujhe zabh kiya baaton mein
tez-tar tegh-e-ajal se lab-e-ghammaz hua

log karte hain kamal-e-rukh-e-zeba ka wasf
khalq ko yaad tera mushaf-e-eajaz hua

ai mughanni dil-e-nadan nikal aaya bahar
aaj be-parda zamana mein tera saz hua

roz-e-furqat ne kiya tair-e-dil ko haijaan
gul-e-khurshid mujhe jangal-e-shahbaz hua

bosa manga na gaya honton ka ai rashk-e-pari
rang missi ka mujhe surma-e-awaz hua

nashsha-e-ghamza-o-andaz se sarshaar hun main
kasa-e-umr-e-rawan jam-e-mai-e-naz hua

tar-dimaghi jo badhe nashsha-e-mani ki 'munir'
kasa-e-sar mujhe jam-e-mai-e-shiraaz hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close