KHamosh jhil mein girdab dekh lete hain

khamosh jhil mein girdab dekh lete hain
samundaron ko bhi payab dekh lete hain

zara jo azmat-e-rafta pe harf aane lage
to ek bachi hui mehrab dekh lete hain

uchatti nind se hasil bhi aur kya hoga
kate phate hue kuchh khwab dekh lete hain

hamein bhi jurat-e-guftar hone lagti hai
jo un ke lahje ko shadab dekh lete hain

safar ka azm to baqi nahin raha 'rashid'
bas ab bandha hua asbab dekh lete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close