KHatm chhuTTi madrase ka dar khula

khatm chhutti madrase ka dar khula
aql-o-danish ilm-o-fan ka ghar khula

phir wahi school ki sar-garmiyan
phir wahi talim ka daftar khula

meri talimi liyaqat ka bharam
imtihan ke baad hi aksar khula

master sahab ke ghusse ka sabab
be-khata masum bachchon par khula

meri aankhen nind se bojhal huin
jab nazar aaya koi bistar khula

chand taron ko hansi aane lagi
mera basta jab khuli chhat par khula

ji mein aata hai lagaun ek chapat
dekhta hun jab kisi ka sar khula

'kaif' meri nak mein dam aa gaya
jab kabhi mujh se koi teacher khula


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close