KHayal jin ka hamein roz-o-shab satata hai

khayal jin ka hamein roz-o-shab satata hai
kabhi unhen bhi hamara khayal aata hai

tumhaara ishq jise khak mein milata hai
isi ki khak se phir phul bhi khilata hai

dhalegi raat to phailega nur bhi is ka
charagh apna sar-e-sham jhilmilata hai

na tai hui teri sham-e-jamal se bhi jo rah
wahin pe mera junun rasta dikhata hai

na jaane shauq ko aadat hai kyun bahakne ki
tera hijab to be-shak adab sikhata hai

kahan bujhae se bujhte hain ishq ke shoale
charagh yun to jo jalta hai bujh bhi jata hai

ye baad-e-rah-e-guzar dar-khur-e-chaman na sahi
ghubar ka bhi thikana nikal hi aata hai

junun ki chaal pe thitki na wo nazar tanha
yahan zamana bhi qadmon mein lot jata hai

hai tere gham ki gham-e-rozgar se sazish
kahan kahan dil-e-diwana kaam aata hai

'surur' jins-e-wafa bechte nahin phirte
jigar ke dagh dikhana to sab ko aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close