main jis KHwab mein rahta hun pahle us KHwab tak aaya wo

main jis khwab mein rahta hun pahle us khwab tak aaya wo
phir us khwab se dil ke raste meri kitab tak aaya wo

mai-khane tak jaane ka phir hosh bhala kis ko rahta
jis masti mein sath mere is shahr-e-sharab tak aaya wo

kitni pyas aur kitni masafat un aankhon mein likkhi thi
ek sarab se nikla to ek aur sarab tak aaya wo

us ke baad to jo karna tha aap janab ne karna tha
us ki to mearaj yahi thi aap janab tak aaya wo

us ki khatir chashm o dil o jaan farsh-e-rah to karna tujhe
us jangal mein 'khawar' mujh se khana-kharab tak aaya wo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close