maine dil-e-be-tab pe jo jabr kiya hai

main ne dil-e-be-tab pe jo jabr kiya hai
khun ho ke meri aankhon se ab chhut baha hai

jis ko kisi aazar ne hai patthar se tarasha
ab shumi-e-taqdir se wo mera khuda hai

us ke sitam-o-jaur ka ehsas kise ho
us shokh ki surat hi badi hosh-ruba hai

mujh bekas-o-awara ki phir aa gai shamat
sunta hun ki basti mein kahin qatl hua hai

tum un ko saza kyun nahin dete ki jinhon ne
mujrim ka zamir aur sukun lut liya hai

ab dawa-e-insaf ki auqat khulegi
khud shaikh mere shahr ka mukhtar bana hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close