marte marte raushni ka KHwab to pura hua

marte marte raushni ka khwab to pura hua
bah gaya sara lahu tan ka to din aadha hua

raston par ped jab dekhe to aansu aa gae
har shajar saya tha teri yaad se milta hua

subh se pahle badan ki dhup mein nind aa gai
aur kitna jagta main raat ka jaga hua

shahr-e-dil mein is tarah har gham ne pahchana mujhe
jaise mera nam tha diwar par likkha hua

zist ke pur-shor sahil par gae lamhon ki yaad
jis tarah saya ho sath-e-ab par thahra hua

gham hue wo aashna chehron ke aaine kahan
shahr hai sare ka sara dhund mein lipta hua

wasl ke baadal zara tham husn-e-qamat dekh lun
pyas ka sahra to hai ta-chashm-e-tar phaila hua

mujh ko aashob-e-hikayat jaan lene ki hawas
aur ye tera badan ek dastan kahta hua

gham jo milta hai to ai tausif sine se lagao
kis ne lautaya hai yun mehman ghar aaya hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close