mazi ke jab zaKHm ubharne lagte hain

mazi ke jab zakhm ubharne lagte hain
aankhon se jazbaat bikharne lagte hain

zehn-o-dil mein us ki yaaden aate hi
lafz shararat khud hi karne lagte hain

kar ke yaad tere mathe ka bosa hum
ungli ab honthon pe dharne lagte hain

teri main taswir kabhi jo dekhun to
mere din aur raat thaharne lagte hain

bin tere sanson ki haalat mat puchho
ghut ghut kar rozana marne lagte hain

hum par andhere kuchh hawi hain aise to
hum khud ke sae se darne lagte hain

'mit' kahani ulfat ki jab padhta hun
aankhon se kirdar guzarne lagte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close