parchhaiyon ki baat na kar rang-e-haal dekh aankhon se ab hawa-o-hawas ka maal dekh do sher jis ke qahr ki jangal mein dhum thi meri nashist-gah mein ab us ki khaal dekh khushbu ki tarah gunj utha harf-e-agahi ai dil zara hisar-e-nafas ka zawal dekh tujh se qarib aae to apni khabar na thi duri ka ye azab ba-rang-e-visal dekh bujhti hui sada ki tarah khud mein dub ja pesh-e-nigah jab bhi tamanna ka jal dekh palkon mein tez dhup ka manzar samet le phir kasa-e-badan mein lahu ka ubaal dekh