phir koi mahshar uThane meri tanhai mein aa

phir koi mahshar uthane meri tanhai mein aa
apne hone ki khabar le kar kabhi basti mein aa

dekhna thahra to phir ek ye tamasha bhi sahi
aag lagne ki khabar sun kar hi ab khidki mein aa

ai mere honton ki lazzat shakh ko bojhal na kar
ek hilore mein shajar se tut kar jholi mein aa

jurm-e-be-lazzat hai sahil par teri tar-damani
ya palat khushki ki jaanib ya khule pani mein aa

tod bhi de halqa-e-yaran bahut shab dhal chuki
naql-e-zindani ko ghar ki chaar-diwari mein aa

mere pairon mein to zanjiren gali kuchon ki hain
mujh se milne shahr ki gunjaan aabaadi mein aa

khwahish-e-be-khanuman ko la makan-e-harf mein
nau-walad bachche ki surat paikar-e-mani mein aa

nind kuchh kar le ki taza aankh pe suraj khule
subh sahil par utarna hai to is kashti mein aa

khun shiryanon ka aankhon mein dikhai de sake
tu bhi dariya hai agar 'shahid' to tughyani mein aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close