pur-shor talatum ka mudawa koi aahaT

pur-shor talatum ka mudawa koi aahat
sangin faza mein thi dilasa koi aahat

be-dard hawaon ne hirasan to kiya tha
thi sath magar un ke shanasa koi aahat

jab kali ghata qahr ka saman bani thi
de kar gai bijli ka ujala koi aahat

goshe mein tasawwur jahan bimar pada tha
karti thi mohabbat se ishaara koi aahat

khamosh khayalon ke qafas mein tu pada rah
jagegi nahin dar pe dobara koi aahat

sailab ke narghe mein ghiri jab se tamanna
ek sapna dikhati hai suhana koi aahat

karti hai kabhi ghaiz ki banhon ko pakad kar
bechain samundar mein tamasha koi aahat

ek yaad ka aanchal jo uda tez hawa mein
dene lagi hamdard bulawa koi aahat

rahmat bhari aankhon se zara dekhna 'jafar'
tufan mein dhunde hai sahaara koi aahat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close