sunte hi dil ho gaya us yar ka asrar mast

sunte hi dil ho gaya us yar ka asrar mast
hoshiyari kya kare jab dil ho sau sau bar mast

shohra-e-afaq us mah se ye hai maston ka haal
phenkte hain sar se apne khak par dastar mast

sar-barahna be-sar-o-saman jo dil-afgar hain
bazm-e-mastan mein wahi mashhur hain sardar mast

be-khudi diwangi mein is tarah sarshaar hain
bhulte hain aap ko ho kafir o din-dar mast

kab unhen dair-o-haram yaad aae hai ai zahido
ku-e-jaanan mein hazaron ho gae hoshyar mast

kaifiyat donon jahan ki hai wahan hasil tamam
jab nazar aawen kisi ja par kahin do-chaar mast

haal aa jae abhi sab sakinan-e-charkh ko
tu bhi ho jawe ai 'miskin' sun ke ye ashaar mast


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close