tumhaara gham na ho to zindagi achchhi nahin lagti

tumhaara gham na ho to zindagi achchhi nahin lagti
khamoshi se bahe jo wo nadi achchhi nahin lagti

pade ho ishq mein to ishq ki tahzib bhi sikho
kisi aashiq ke chehre par hansi achchhi nahin lagti

ye man karta hai baadal aa ke dhak len chand ko pura
hon jab wo pas to phir chandni achchhi nahin lagti

kaha us ne hamein kab wasl se inkar hai lekin
khalish sine mein us ke baad ki achchhi nahin lagti

ajab hai baat hairat ki hamari shakl ye un ko
kabhi lagti hai achchhi aur kabhi achchhi nahin lagti

likhi hain sari ghazlen bas usi ke waste main ne
wahi han wo hi jis ko shairi achchhi nahin lagti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close