ulfat ye chhupaen hum kisi ki

ulfat ye chhupaen hum kisi ki
dil se bhi kahen na apni ji ki

jaane wo kya kisi ki ji ki
jis ko ulfat na ho kisi ki

khwahish na bar aai apni ji ki
hum ne kis kis ki dosti ki

achchhi nahin sharh aashiqi ki
puchho na aji kisi ki ji ki

ye roe ki nama bah ke pahuncha
ashkon ne hamare qasidi ki

surkhi magar us ke lab ki dekhi
rangat hai safed aarsi ki

aashiq the wo hum ki baad apne
mitti hi kharab aashiqi ki

ai abr-e-shab-e-firaq sach kah
rote katti hai shab kisi ki

dil zulf-e-rasa talak to pahuncha
itni bakhton ne rahbari ki

bijli chamki to abr roya
yaad aa gai kya hansi kisi ki

hum kisi ki gali ki rah bhule
jo khizr ne bhi na rahbari ki

dil ko mere khak mein milaya
dilbar ne khub dilbari ki

sozish mere dil ki dekh ai mah
kar sair is burj-e-atishi ki

wo tifl-e-nusairi aae shayad
qasmen dun murtaza-ali ki

gardan-zadani thi shama-e-sarkash
kyun us ki gali se ham-sari ki

bas rakh diya khat mein barg-e-sausan
jab likh na sake sifat misi ki

thukra ke chali jabin ko mere
qismat ke likhe ne yawari ki

ye rashk hai munh jo yar dekhe
surat dekhun na aarsi ki

bhula tha main rah-e-ku-e-qatil
tu ne ai maut rahbari ki

us ke gardan talak na pahuncha
ai dast-e-daraaz kotahi ki

dil ko pala baghal mein tu ne
goya dushman se dosti ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close