uske kuche mein gaya main so phir aaya na gaya

us ke kuche mein gaya main so phir aaya na gaya
main wahan aap ko dhunda to main paya na gaya

gum hua dil mere pahlu se ki paya na gaya
shayad us kuche mein ja us se phir aaya na gaya

dam-ba-khud ho ke mua us ki nazakat ke sabab
aah-o-nala bhi mujhe us ko sunaya na gaya

us ne ek roz mein sau bar rulaya mujh ko
mujh se par us but-e-khush-khu ko manaya na gaya

baad ek umar ke kya tujh se kahun ai 'ghamgin'
haal-e-dil us ne jo puchha to sunaya na gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close