ye nazzara na dekha tha faraaz-e-baam se pahle

ye nazzara na dekha tha faraaz-e-baam se pahle
nikalta hai koi suraj ghurub-e-sham se pahle

usi ke nam kar dale hain main ne ratjage apne
kisi ka nam leta hai jo mere nam se pahle

tumhaare aatishin lahje se hum khaif nahin lekin
hamari baat to sun lo zara aaram se pahle

sukut-e-shahar-e-khamoshan bhi jis par rashk farmae
kuchh aisi kaifiyat hoti hai har kohram se pahle

rahin-e-ab-o-dana hi sahi aawargi apni
gharon ko laut aate hain parinde sham se pahle

ba-har-surat unhen ranj-e-asiri to uthana hai
nazar dane pe hai parwaz jin ki dam se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close