chand ki fariyaad

chand ne mujh se kaha ai shaer-e-fikr-e-azal
mere bare mein bhi likh de koi sanjida ghazal

har talluq tod rakkha hai hilal-e-id se
tujh ko fursat hi nahin hai mah-washon ki did se

rasm-e-didar-e-hilal-e-id, afsana hui
baam par us dam chadhe, jis waqt farzana hui

le ke nazrana kameti ne ujala hai mujhe
gar nahin nikla, zabardasti nikala hai mujhe

mein jo be-marzi nikal aaya to danta hai bahut
maulwi ne mukhtalif khanon mein banta hai bahut

is ko mat follow karo, is ki tariqat mand hai
tum bareilly ke ho aur ye deobandi chand hai

ye jo khun-alud hai, afghaniyon ka chand hai
mukhtalif tukdon mein pakistaniyon ka chand hai

ek karachi se hai nikla ek pas-e-lahore hai
sindh ka chand aur hai punjab ka chand aur hai

wo jo ham-sae ki biwi hai ghazala chand hai
aur us ke sath jo rahta hai kala chand hai

shaeron ne apne sheron mein bahut pela mujhe
'mir' o 'ghaalib' ne bhi samjha khak ka dhela mujhe

sher mein, rashk-e-qamar laila ko farmane lage
tube-light ko hilal-e-id batlane lage

apni biwi se kaha untiswin ka chand ho
aur padosan se kaha tum chaudhwin ka chand ho

aam si aurat ko mah-para bana kar rakh diya
chand ko tuta hua tara bana kar rakh diya

chand par jis din se insan ke qadam padne lage
chandni jin se ho aaise balb kam padne lage

main zamin se dur hun lekin bahut nazdik hun
ai zamin walo main tum se dur rah kar thik hun

main zamin par aa gaya to har bashar le jaega
sab se pahle ten-parsent apne ghar le jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close