ek nazm

aasman sar par ugane mein mera hissa nahin hai
ye zamin bhi kal talak jis gae ke singon tiki thi

wo meri koi nahin thi
aur ab jis be-badan nange khala mein tairti hai

wo khala bhi main nahin hun
har taraf phaili hui be-rang chehra zindagi ko

main bhala kya dhaalta
gosht ka jo lothda likkha hai mere nam

wo bhi aur ka dhaala hua hai
wo purane din bhale the jab sabhi kuchh chal raha tha

nam is ka kaam us ka
wo magar mere ujale bade se ghaar mein ghaarat hua hai

an-ginat ilzam kilon mein tanga mera badan
qatra qatra chikhta hai

aur sannata mazon mein gungunata phir raha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close