gireban ka fasla By Nazm << hijr ki umr baDhi hai ek lamha! >> kat gai raat magar hijr ke jagte pairahan se raat ki malgaji afsurda-mahak aati hai halqa-e-baad-e-saba gardan mein waqt sadkon pe khincha phirta hai rah jati hi nahin koi bayaban ki taraf hath badhte hi nahin apne gareban ki taraf Share on: