ham-zad

kuchh kiya jae na socha jae
mud ke dekhun to na dekha jae

meri tanhai ki wahshat se hirasan ho kar
mera saya mere qadmon mein simat aaya hai

kaun hai phir jo mere sath chala aata hai
mera saya to nahin!!

kis ki aahat ka guman
yun mere panw ki zanjir bana jata hai

dur ta-hadd-e-nazar shahr ke aasar nahin
aur dushman ki tarah

sham talwar liye sar pe chali aati hai
bolta hun to aachanak koi

meri aawaz mein aawaz mila deta hai
mujh ko khud mere hi lafzon se dara deta hai

kaun hai jis ne mere qalb ki dhadkan dhadkan
apne ehsas ki suli pe chadha rakkhi hai

meri raftar ke pur-khauf-o-khatar raste mein
kis ne aawaz ki diwar bana rakkhi hai

sang-e-awaz ki diwar giraun kaise
kuchh kiya jae na socha jae

mud ke dekhun to na dekha jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close