kachchi basti

galiyan
aur galiyon mein galiyan

chhote ghar
niche darwaze

tat ke parde
maili bad-rangi diwaren

diwaron se sar takraati
koi gali

galiyon ke sine par bahti
gandi nali

galiyon ke mathe par bahta
aawazon ka ganda nala

aawazon ki bhid bahut hai
insanon ki bhid bahut hai

kadwe aur kasile chehre
bad-hali ke zahr se hain zahrile chehre

bimari se pile chehre
marte chehre

haare chehre
be-bas aur bechaare chehre

sare chehre
ek pahadi kachre ki

aur us par phirte
aawara kutton se bachche

apna bachpan dhund rahe hain
din dhalta hai

is basti mein rahne wale
auron ki jannat ko apni mehnat de kar

apne jahannam ki jaanib
ab thake hue

jhunjhlae hue se
laut rahe hain

ek gali mein
zang lage pipe rakkhe hain

kachchi daru mahak rahi hai
aaj sawere se

basti mein
qatl-o-khun ka

chaqu-zani ka
koi qissa nahin hua hai

khair
abhi to sham hai

puri raat padi hai
yun lagta hai

sari basti
jaise ek dukhta phoda hai

yun lagta hai
sari basti

jaise hai ek jalta kadhaw
yun lagta hai

jaise khuda nukkad par baitha
tute-phute insan

aune-paune damon
bech raha hai!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close