kaif se KHumar tak

wo hasin thi mah-e-jabin thi
be-guman thi be-yaqin thi

zindagi ki naram naram aahaten
be-sabab yunhi muskurahaten

ungliyon mein baal ko lapetna
daman-e-khayal ko lapetna

har ghadi wahi milne waliyan
be-khayaliyan khush-khayaliyan

narm uljhanen kam-sini ke khwab
ang ang mein chheda inqalab

munh par odhni ji kabhi nahin
main to aap se bolti nahin

aur phir haya zindagi ki mar
marifat ka bojh jabr-o-ikhtiyar

ek jaan aur sainkadon wabaal
jism ki dukhan ruh ka khayal

zindagi badhi raushni liye
raushni badhi tirgi liye

inkisar mein ek ghurur sa
kuchh khumar sa kuchh surur sa

daere yahan daere wahan
raqs mein nazar raqs mein jahan

guftugu mein bal khamushi mein loch
raat karwaten karwaton mein soch

dil bujha bujha tishnagi ki aanch
ajnabi thakan zindagi ki aanch

us ke kaam aaen us ka dukh bataen
us ko chhed den aur muskuraen

us ki aankh mein kitna dard hai
rang zard hai ruh zard hai

wo udas hai kyun udas hai
us ki zindagi kis ke pas hai

ye gunah kyun bhul kyun nahin
bagh mein tamam phul kyun nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close