nur-jahan ke mazar par

pahlu-e-shah mein ye dukhtar-e-jamhur ki qabr
kitne gum-gashta fasanon ka pata deti hai

kitne khun-rez haqaeq se uthati hai naqab
kitni kuchli hui jaanon ka pata deti hai

kaise maghrur shahanshahon ki taskin ke liye
sal-ha-sal hasinaon ke bazar lage

kaise bahki hui nazron ke tayyush ke liye
surkh mahlon mein jawan jismon ke ambar lage

kaise har shakh se munh-band mahakti kaliyan
noch li jati thin tazin-e-haram ki khatir

aur murjha ke bhi aazad na ho sakti thin
zill-e-subhan ki ulfat ke bharam ki khatir

kaise ek fard ke honton ki zara si jumbish
sard kar sakti thi be-laus wafaon ke charagh

lut sakti thi damakte hue hathon ka suhag
tod sakti thi mai-e-ishq se labrez ayagh

sahmi sahmi si fazaon mein ye viran marqad
itna khamosh hai fariyaad-kunan ho jaise

sard shakhon mein hawa chikh rahi hai aaise
ruh-e-taqdis-o-wafa marsiyan-khwan ho jaise

tu meri jaan mujhe hairat o hasrat se na dekh
hum mein koi bhi jahan-nur o jahan-gir nahin

tu mujhe chhod ke thukra ke bhi ja sakti hai
tere hathon mein mere hath hain zanjir nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close