parinda lauT kar nahin aata

parinda
subh se sham tak

bhatakta hai
sham dhalti hai to

apni panah-gah mein laut aata hai
magar apne panjon mein atke khwab

jangalon bayabanon
wadiyon aur maidanon ko saunp aata hai

khwab raat bhar idhar-udhar bhatakte hain
magar aankhon ki khidkiyan un par nahin khulti

khwab phut phut kar rote hain
parinde ko bulate hain

magar parinda laut kar nahin aata
magar parinda laut kar nahin aata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close