waqt bhi marham nahin hai

mujhe sanp sidhi ke
is khel se

aaj ghin aa rahi hai
mere dil ke panse pe khode gae

ye adad
mujh ko mahdud karne lage hain

bisat-e-ziyan par
mere khwab ka reshmi azhdaha

chaal ke pairahan ko nigalne laga hai
meri jast ki sidhiyan

sokhta haddiyon ki tarah
bhurnhuri ho ke

jhadne lagi hain
khel hi khel mein

sabz chaukor khane
kisi qabr ki chaar diwar ban kar

mera dam nigalne lage hain
so ai waqt!

mere muqabil khiladi
aaj se tu bhi aazad hai

main bhi aazad hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close