aadmi KHud ko bhala kaise bacha le jaega

aadmi khud ko bhala kaise bacha le jaega
jis jagah marna hai us ko hadisa le jaega

main agar tufan se bach bhi gaya to kya hua
meri kashti ko bhanwar mein na-khuda le jaega

aaj phir zakhm-e-jigar taza hai pahle ki tarah
aaj phir mujh ko tera gham mai-kada le jaega

aad mein tafrih ki tum chhod do aiyyashiyan
warna phir pani samundar ka baha le jaega

aadmi ke sath jaenge faqat us ke amal
aur apne sath wo duniya se kya le jaega

kis liye fariyaad le ke jaun main munsif ke pas
jab sitamgar apne haq mein faisla le jaega

soch ai insan teri hasti ki hai kitni bisat
tujh ko jab tufan ka ek jhonka uda le jaega

us ke sar pe aafiyat ka saeban hoga zarur
sath jo khanjar buzurgon ki dua le jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close