aalam-e-rozgar ko aasan bana diya

aalam-e-rozgar ko aasan bana diya
jo gham hua use gham-e-jaanan bana diya

main kaamyab-e-did bhi mahrum-e-did bhi
jalwon ke izhdiham ne hairan bana diya

yun muskurae jaan si kaliyon mein pad gai
yun lab-kusha hue ki gulistan bana diya

kuchh shorishon ki nazr hua khun-e-ashiqan
kuchh jam ke rah gaya use hirman bana diya

ai shaikh wo basit haqiqat hai kufr ki
kuchh qaid-e-rasm ne jise iman bana diya

kuchh aag di hawas mein to tamir-e-ishq ki
jab khak kar diya use irfan bana diya

kya kya quyud dahr mein hain ahl-e-hosh ke
aisi faza-e-saf ko zindan bana diya

ek barq thi zamir mein fitrat ke maujzan
aaj us ko husn o ishq ka saman bana diya

majburi-e-hayat mein raaz-e-hayat hai
zindan ko main ne rauzan-e-zindan bana diya

wo shorishen nizam-e-jahan jin ke dam se hai
jab mukhtasar kiya unhen insan bana diya

hum us nigah-e-naz ko samjhe the neshtar
tum ne to muskura ke rag-e-jaan bana diya

bulbul ba-ah-o-nala wa gul mast-e-rang-o-bu
mujh ko shahid-e-rasm-e-gulistan bana diya

kahte hain ek fareb-e-musalsal hai zindagi
us ko bhi waqf-e-hasrat-o-hirman bana diya

aalam se be-khabar bhi hun aalam mein bhi hun main
saqi ne is maqam ko aasan bana diya

us husn-e-karobar ko maston se puchhiye
jis ko fareb-e-hosh ne isyan bana diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close