ai mausam-e-junun ye ajab tarz-e-qatl hai

ai mausam-e-junun ye ajab tarz-e-qatl hai
insaniyat ke kheton mein lashon ki fasl hai

apne lahu ka rang bhi pahchanti nahin
insan ke nasib mein andhon ki nasl hai

munsif to faislon ki tijarat mein lag gae
ab jaane kis se hum ko taqaza-e-adl hai

dushman ka hausla kabhi itna qawi na tha
mere tabah hone mein tera bhi dakhl hai

ladte bhi hain to pyar se munh modte nahin
hum se kahin ziyaada to bachchon mein aql hai

tarikh kah rahi hai ki chehra badal gaya
insan hai musir ki wahi apni shakl hai

dawa-e-khun-baha na tazallum na ehtijaj
kis be-nawa-e-waqt ka 'ibrat' ye qatl hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close