apne lahu mein zahr bhi KHud gholta hun main

apne lahu mein zahr bhi khud gholta hun main
soz-e-darun kisi pe nahin kholta hun main

aflak meri durd-e-tah-e-jam mein hain gum
tasbih-e-mahr-o-anjum-o-mah rolta hun main

kuchh na samajh ke uth chale sab mere gham-gusar
jaane wahi ki jis ki zaban bolta hun main

kya jaane shakh-e-waqt se kis waqt gir padun
manind-e-barg-e-zard abhi dolta hun main

bazar-e-dil mein dard ka gahak nahin koi
mizan-e-arzu mein ziyan taulta hun main

'imrran' bu-e-gul se hain nakhun mahak uthe
ye kis hasin ke band-e-qaba kholta hun mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close