apni yahi pahchan, yahi apna pata hai

apni yahi pahchan, yahi apna pata hai
ek umr se ye sar kisi chaukhat pe jhuka hai

yun sehr-e-takhatub hai har ek samt ki fil-asr
khulta hi nahin kaun yahan kis ka khuda hai

darwaza nahin, bich mein diwar hai apne
aur dastak-e-diwar se dar kam hi khula hai

jab jab dil-e-nazuk pe padi chot koi bhi
kuchh din to dhuan dil se har ek lamha utha hai

is tutti banti hui duniya mein abhi tak
kitnon ka sahaara to faqat nam-e-khuda hai

mahsus karen sab hi bayan ho na kisi se
us sada o masum mein kuchh aisi ada hai

phal jis pe na the, saya magar sab ke liye tha
chhitnar shajar ab ke wo aandhi mein gira hai

kya aur bhi darkar hai kuchh is ke siwa bhi
ai shauq-e-talab tere liye waqt ruka hai

parwazi-e-aflak-e-khirad jab hui aajiz
tab dahr-paraston ne bhi samjha ki khuda hai

ye mehr-o-murawwat to baja, phir bhi mere dost
zalim pe karam zulm se izhaar-e-wafa hai

ab aalam-e-fani ki nai sharhen bhi samjho
jo koi na padh paya tha wo tum ne padha hai

ye sabza-o-gul, chand sitare, ye zamana
mil jae ye sab bhi, to haqiqat mein ye kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close