asiran-e-qafas aisa to ho tarz-e-fughan apna ki ho sayyaad khud bhi rafta rafta ham-zaban apna kiye ja kaam han ai gardish-e-daur-e-zaman apna hamein bhi dekhna hai kaise mitta hai nishan apna adu hain bijliyan apni na dushman aasman apna hamein khud apne hathon phunkte hain aashiyan apna na kho de sust-gami hum ko bazi-gah-e-hasti mein na gard-e-karwan rah jae ban kar karwan apna chaman ke patte patte par hain yarab bijliyan qabiz kahan le jaen murghan-e-chaman ab aashiyan apna urus-e-manzil-e-maqsud mil hi jaegi ek din yunhi chande raha garja wo paima karwan apna jala den hum qafas ki titliyan shoala-nawai se har ek murgh-e-chaman 'asi' agar ho ham-zaban apna