aur kuchh tez chalin ab ke hawaen shayad

aur kuchh tez chalin ab ke hawaen shayad
ghar banane ki milin hum ko sazaen shayad

bhar gae zakhm masihai ke marham ke baghair
man ne ki hain mere jine ki duaen shayad

main ne kal khwab mein khud apna lahu dekha hai
tal gain sar se mere sari balaen shayad

main ne kal jin ko andheron se dilai thi najat
ab wahi log mere dil ko jalaen shayad

phir wahi sar hai wahi sang-e-malamat us ka
dar-guzar kar din meri us ne khataen shayad

ab wo kahta nahin mujh se ki barhana tu hai
chhin gain us ke badan ki bhi qabaen shayad

is bharose pe khila hai mera darwaza 'rais'
ruthne wale kabhi laut ke aaen shayad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close