be-hifazat hi mera ganj-e-maani rah gaya

be-hifazat hi mera ganj-e-maani rah gaya
ret par likh kar main khud apni kahani rah gaya

chal diye sab dost mujh ko dubta hi chhod kar
gham batane ke liye dariya ka pani rah gaya

jab kabhi kholi hai main ne bite lamhon ki kitab
der tak padhta main tahriren purani rah gaya

jhad gae patte mere jitne meri shakhon pe the
ban ke apni ek dhundli si nishani rah gaya

jam gaya hai barf ki surat mera sara badan
dur mujh se dur suraj aan-jahani rah gaya

lafz thak kar so gae kaghaz ke pahlu mein magar
jagta anjum mera husn-e-maani rah gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close