chaak-e-daman na raha chaak-e-gareban na raha phir bhi poshida mera haal-e-pareshan na raha bazm-e-dushman na kabhi darham-o-barham dekhi kya tera daur wo ai gardish-e-dauran na raha mujh ko afsos ki wo aur adu ke bas mein us ko ye gham ki mera ab koi pursan na raha hum ne jo baat kahi thi wahi aakhir ko hui tum ne jo raaz chhupaya tha wo pinhan na raha munfail tark-e-wafa ne mujhe barson rakkha chaar din apne kiye par wo pasheman na raha un ki shokhi bhi hui hai meri wahshat ka jawab hath dala jo gareban mein gareban na raha ban gai dagh kaleje ka tamanna-e-visal dagh-e-hasrat ke siwa ab koi arman na raha khair sab qaul-o-qasam jhut sahi khush rahiye ab mere aap ke wo ahd wo paiman na raha rokne ko mujhe ghairat ke siwa is dar par koi darban na raha koi nigahban na raha mit gaya shaghl-e-junun ab wo kahan jama-dari zor wahshat ka bhi ab dast-o-gareban na raha chaar jhidki mein tere dar se alag ho baitha ghair kuchh roz bhi minnat-kash-e-darban na raha waqt ko hath se kho kar koi duniya mein 'hafiz' umr-bhar meri tarah sar-ba-gareban na raha