dhup utri hai na rahon mein ghana saya hai

dhup utri hai na rahon mein ghana saya hai
ab tere baad tere shahr mein kya rakha hai

yun to tanhai ka ehsas azal se hai hamein
kuchh dinon se to dil-e-zar bahut tanha hai

chandni hu ka saman ek chhanake ki sada
jhil ka aaina kya pichhle pahar tuta hai

ratjage aise manae hain ki ji jaanta hai
jam-e-mahtab ko aankhon ne bahut chuma hai

dil-e-mizrab ki dhadkan hai abhi mera wajud
tu ne wo naghma suna kab hai jo na-paida hai

maqtal-e-shahr mein sar hain ki salibon ke hujum
khun ka dariya hai ki ta-hadd-e-nazar thahra hai

zindagi ret ke tile ki tarah hai 'khawar'
aarzu jaise koi aahu-e-be-parwa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close