dil ko milta nahin qarar kahin

dil ko milta nahin qarar kahin
gham bhi hota hai sazgar kahin
jab ghataen umad ke aati hain
baith jate hain baada-khwar kahin
mausam-e-gul mein abr-e-baran mein
dil pe rahta hai ikhtiyar kahin
teri zulfon ke pech-o-kham ke nisar
gum na ho jae rahguzar kahin
bu-e-gul ke hujum-e-raqsan mein
par thaharti nahin bahaar kahin
This is a great zulfon par hindi shayari. True lovers of da baran shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this ghata shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!