doston se to kinara bhi nahin kar sakta

doston se to kinara bhi nahin kar sakta
un ka har zulm gawara bhi nahin kar sakta

mera dushman mere apnon mein chhupa baitha hai
us ki jaanib main ishaara bhi nahin kar sakta

shab mein niklega nahin us pe musallat hai nizam
din mein suraj ka nazara bhi nahin kar sakta

aish-o-ishrat ka talabgar nahin hun phir bhi
tang-dasti mein guzara bhi nahin kar sakta

shauq aisa ki machalta hai mohabbat ke liye
jurm aisa ki dobara bhi nahin kar sakta

gham hai betab ki aankhon se nikal jae magar
dil ki daulat ka khasara bhi nahin kar sakta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close