dur se hi bas dariya dariya lagta hai dub ke dekho kitna pyasa lagta hai tanha ho to ghabraya sa lagta hai bhid mein us ko dekh ke achchha lagta hai aaj ye hai kal aur yahan hoga koi socho to sab khel-tamasha lagta hai main hi na manun mere bikharne mein warna duniya bhar ko hath tumhaara lagta hai zehn se kaghaz par taswir utarte hi ek musawwir kitna akela lagta hai pyar ke is nashsha ko koi kya samjhe thokar mein jab sara zamana lagta hai bhid mein rah kar apna bhi kab rah pata chand akela hai to sab ka lagta hai shakh pe baithi bholi-bhaali ek chidiya kya jaane us par bhi nishana lagta hai